✨Aadaab-e-zindagi series✨
🛏️ Sone aur jaagne ke adaab
https://taleem.education
1) sone se pehle apne a’amaal ka muhaasibah karna chahiye. Har ache kaam par Allah ka shukr adaa karna chahiye aur har ghalat kaam par nadaamat ke saath taubah wa istaghfaar karna chahiye.

2) Raat ko jaldi Sona sunnat hai, kyunke Nabi sallallahu ‘alaihi wasallam jaldi soya karte the aur aakhir raat mein uth kar namaaz padhte the.
[📚Sahih Bukhari wa Muslim]
Han agar koi ‘ilmi muzaakrah ho , kisi mehmaan aur ahal-e-khana ke saath zaroori guftgu karne ki zaroorat ho to takheer se sone se mein koi haraj nahi hai.
[📚Sahih Bukhari wa Muslim]

3) sone se pehle wudhu karna aur daayen karwat (right side) par letna msnoon hai.
[📚Sahih Bukhari wa Muslim]

4) letne se pehle bistar ko 3 martaba jhaadh lena chahiye.
[📚Sahih Bukhari wa Muslim]

5) pet ke bal Sona sakht na pasandeedah hai. Yeh jahannamiyon ke letne ka tareeqah hai.
[📚Abu Dawood: sahih]

6) aisi chat par Sona man’a hai jis ki koi deewaar na ho. [📚Bukhaari fil adab-ul-mufrad]

7) sone se pehle ghar ke darwaaze band kar lena chahiye. (darwaaze bismillah kehkar band karna chahiye)
[📚Sahih Bukhari wa Muslim]

8)isi tarah ghar mein aag jal rahi ho to usko bhi bujha dena chahiye. [📚Sahih Bukhari wa Muslim]

9)khaane peene ke bartano ko dhaanp dena chahiye. [📚Sahih Bukhari wa Muslim]

10) sone se pehle sone se qabl padhe jaane waale sabhi masnoon adhkaar padhna chahiye.
[neend ke adhkaar ke liye is link par click kariye]
https://taleem.education/?page_id=109

11) neend mein agar ghabraahat ya pareshaani laa haq ho jaaye to ya achanak neend chali jaaye to yeh du’a padhni chahiye.
“اعوذ بكلمات الله التامات من غضبه وعقابه والشر عباده ومن همزات الشياطين وان يحضرون.”
[📚Abu Dawood: Hasan]

12) jab raat mein aankh khule to yeh adhkaar padhne chahiye. Phir jo du’a maange qubool hogi uske b’ad qayam-ul-layl y’aani tahajjud ki namaaz padhni chahiye. Is du’a ko padhne ke b’ad maghfirat kar di jaati hai. Jo maangi jaaye qubool hoti hai aur namaaz padhe to qubool hoti hai.
[du’a ke liye link par click kariye]
https://taleem.education/?page_id=34935

13) neend se bedaar hone par yeh du’a padhe jab bhi neend se bedaar ho.
“الحمد لله الذي احيانا بعد ما اماتنا واليه النشور.”
[📚Sahih Bukhari]

14) neend se bedaar hone ke b’ad bartan mein haath daalne se pehle teen martaba dho lena chahiye.
[📚Sahih Muslim]

15) neend se bedaar hone ke b’ad teen martaba naak jhaadh lena chahiye kyunke shaitaani naak ke baanse mein raat guzarta hai.
[📚Sahih Bukhari wa Muslim]

[is tarah ki mazeed post ke liye humare is no. Ko apne tamaam groups mein add kijiye jazakallah khaira wa barakallahu feek]
+91 81061 26040